Laptop Ki Bettery Ka Backup & Life Kaise Badhaye?(How To Increase Battery Backup & Life Of Your Laptop{Best Trick}

Laptop Ki Bettery Ka Backup & Life Kaise badhaye???


       How To Increase Battery Backup

                 & Life Of Your Laptop






Doston !
           Aaj mai aaplogo ke liye Ek Aisa Trick laya hun Jo aapke laptop ki Battery ka Backup & Life ko increase kar dega.Aaj se kuchh din pahle humse ek ladka puchha tha"Sir Mera Battery bahut jaldi discharge ho jata hai jabki mai new laptop liya tha Toh Mere laptop ki Battery ka backup Achha deta tha lekin ab nahi deta hai aisa Kyun??? Isiliye Ab aapko Pareshan hone ki Koi zaroorat nahi Kyunki Kyun Ka jawab mil gya hai.or Ab aapko Bilkul bhi pareshani nahi hogi.Aap humare website ke reader hai toh itna farz toh banta hi hai help karne ka....
                   


 "Bahut se log pareshan rahte hai or humesha ye sochte rahte hai ki bettery ka backup & Life kaise badhaye"



Jab koi  new laptop kharidte hai kisi marcket se toh unke laptop ke battery ka backup achha deta or aaplogo ko shayd pata hi hoga ki laptop ki details likha hota hai ki aapke bettery ka backup 3,4 hrs tak chal sakta hai.


Halanki chalta bhi hai but kuchh dino baad dheere dheere back up kam jata hai.lagbhag wahi 2 hrs ke aas paas backup dene lagta hai.....



Afsos karne ki zaroorat nahi hai kyunki hum aapke liye laaye hai kuchh aise Tricks jo bettery ka backup aap increase kar sakte hai....



Bas aap mere tricks ko follow kijiye step by step follow kijiye....



Step.1} Aap apne laptop ka brightness kam kare


Laptop ka brightness kam karne ka tarika

Sabse pahle aap apne Laptop ki keyboard me Function Key+down arrow press kijiye aapka brightness kam jayega..or fir aapka backup badh jayega lagbhag 50 minutes ya 1 hrs se Zayeda backup ban sakta hai...


Step.2} Aap Laptop ko charge karne se pahle aapko bettery saver mode ya Eco mode Mode pe daal dijiye

kyunki bettery saver hone ke baad aapka backup achha dega



Step.3} ßluetooth or WiFi ko close rakhe.

Zaroorat ke hinsaab se use kare nahi toh humesha close rakhe Kyunki jab WiFi on rahta hai toh Connect karne ke liye network search karta hai jisse kaafi bettery low ho jati hai .isiliye WiFi ko band karke rakhe..

Step.4} External derive ko nikal kar rakhe..

External hard disk zayeda power leta hai isiliye usko nikal ke rakhe or apne Android device,Pen drive ye sabko humesha nikal ke rakhe jab Zaroori pare toh aap apne pen drive or Hard disk ko connect kare..


Step.5} Aap apne laptop ko humesha charge me na lagaye

Ek baar fully charged kar lijiye apne laptop ko or use kijiye apne jab tak aapka laptop aapko warning nahi dega tab tak aap apne laptop ko charge me na lagaye.agar aap is trick ko apnate hai toh aapka laptop ke battery ka backup sahi rahega .

Step.6} Aap apne background running apps ko close kijiye

Jo faltu ka apps hai Jo background me processing kar raha hai toh aap use close kijiye aisa karne se aapka bettery life increase hoga...

Step.7} Aap apne program ko bhi close rakhe

Program ko on rakhne se bettery khata hai isiliye aap apne program ko close rakhe aisa karne se aapke Laptop ka battery ka life increase hoga..


Aap Task Manager me jaake dekh sakte hai ki kaun kaun Sa Programs aapki bettery kitni % use ho rahi hai.Isme faltu ka Programs use ho rahe hai toh us programs ko Stop kar sakte hai..

Task Manager open karne ke liye aap type kijiye
Ctrl+Shift+Esc ek saath press kare or fir aapko Jo v faltu ka program close karna toh aap Right click karke End task karke aap stop kar sakte hai.


Yaad rakhe humesha Jo programs ke baare me aapko pata ho or aapko lage ki faltu hai toh sirf use Hi close kare kahin aisa na ho ke program humare windows ko chalane ke liye hote hai use Hi close kar de toh aapka system hang hone ke chances ho sakte hai isiliye Jo programs ke baare me maloom ho wahi programs ko close kre..


Step.8} Aap apne laptop ko Sleep Mode me rakhe

Jab aapko kuchh ghanto ke liye kahin jana hota hai toh aap apne laptop ko shutdown kar dete hai or fir 2,4 ghante baad aate hai fir start karte hai apne laptop ko toh saare processing waale programs fir se process leta hai jisse zayeda bettery khata hai.Agar aap apne laptop ko sleep mode me rakhte hai toh saare Processing waale programs etc sab Pause ho jata hai or jab aap wapas sleep mode pe aate hai toh usi condition me suru ho jata hai..jisse bettery ki life zayeda rahti hai or aap zayeda laptop use kar sakte hai..


Step.9} Laptop ko heat na hone de

Apne Laptop ko heat na hone de humesha cool rakhe Kyunki agar aapka laptop zayeda heat karta hai toh bettery life pe negative effect parta hai..

Apne laptop ko cool rakhne ke liye Cooling pad kharid lijiye jisse aapka laptop cool rahega

Aap apne laptop ko humesha kisi solid place (jagah) pe rakhe
just like Table pe rakhe.kisi Soft chiz pe na rakhe
Just like bed ya sofa aisi jagah par hargiz na rakhe Kyunki agar aap aisi naram chiz pe rakhenge toh aapka laptop bahut zayeda heat ho jayega or Cooling Fan block ho jayega isiliye aap kisi bhi naram jagah pe na rakhe..

Note:- Dosto kaisa laga ye mera Tricks agar aapko koi bhi problem ho toh please niche diye gye comments box me aap comments likh sakte hai....mai aapko Zaroor help karunga
Previous
Next Post »

4 comments

Click here for comments
Thanks for your comment