Pendrive ko Bootable banakar Computer me Operating Windows kaise install kare? How To Make Bootable Pendrive & Install Operating Windows In Your Computer (100% Working)

      How To Make Bootable Pendrive
          & Install Operating Windows
                    In Your Computer

 










Pendrive ko Bootable banakar Computer me Operating Windows kaise install kare?




Doston !
Aaj mai aaplogo ke liye ek aisa Trick laya hun Jo aapko future me aane wale Problem  ko solve  kar dega matalb ye ki kisi bhi Bootable Compact Disk (CD) ko Computer ke CPU  me Operating Windows install karna sabhi ko pata hota hai Lekin Mushkil kab hota hai jab kisi System me DVD ROM nahi hota hai ya fir usme  kharabi aa jati hai toh aise switchwation me aap Pareshan ho jate hai.Lekin ab aapko pareshan hone ki Koi Zaroorat nahi hai Kyunki Hum aapke liye ek aise trick laye hai jisse aap Pendrive Ko Bootable banakr System me Operating Windows daal sakte hai.
lekin shrt yahi hai ki aapka pendrive Bootable hona chahiye.Aap mere article ko pure achhe se padhe or Bootable banakr Pen drive se Windows Install kare computer me.aapko pata hona chahiye ki sirf pendrive hi nahi balki kisi bhi Compact Disk yani CD ho ya Pendrive ko Bootable ke liye Booting File ka hona bahut Hi zayeda zaroori hai.





Condition:-
°Pendrive ho Bootable banane ke liye minimum 4GB hona zaroori hai.Agar aapke paas 8GB ya 16GB hai toh Zayeda behatr hai

°Aapke Pendrive me Jo bhi data hoga sab erase ho jayega




Toh aaiye jante hai ki Pendrive ko kaise Bootable banate hai?



Janne ke liye mere saare steps ko follow kare



Step.1  Sabse pahle aapko WiNToBootic naam ki Software ko dalna parega.Download karne ke liye yaham click kare Download Now



Step.2  Software ko download hone ke baad unzip kare.



Step.3  Jab unzip ho Jane ke baad WinToBootic pe Double click karne ke baad ek home screen open hoga



Step.4   Fir wahan pe aapko 2 Option milega Plug in USB Flash/Hard Disk & Drop Source or Click



Step.5  Uske baad aap Computer me  Pendrive ko lagaye fir aapko show hoga Quick Format me mark (√) Tick lagaye



Step.6  Uske baad Drop Source or click hoga uspe click kare



Step.7  Fir apne Computer me Windows koi ek Windows hoga Windows XP,Windows 7 or Windows 8  ke IOS file ko select kare



Step.8  Uske baad Do it show hoga fir aap us Do it pe click kare



Step.9 Fir aapka Pendrive automatically format hone lagega or aapke Computer me Windows copy hone lagega..



Step.10 Uske baad aapko kuchh der wait karna parega.fir aapke saamne ek new screen open hogi content written me kuchh time aayega fir jab uska pura Bootable process finished ho jayega tab Wahan pe Show hoga Thanks fir aap Thanks click kar de



 Congratulation:- 

Ab aapka Bootable Pendrive ready ho gya hai ab aap Bootable Pendrive Ko Computer me Windows Install kar sakte hai




Note:- "Ummid hai Doston aapko ye mera article kaafi achha laga hoga toh aap hume comments me bata sakte hai or agar aapko kisi bhi tarah ka problem ho toh hume comments box me kahiye hum aapke problem ko Zaroor Solve karenge.Aap like,Comments & Share karna na bhule"
Previous
Next Post »
Thanks for your comment